Garmi aur kissan
uff! yeh garmi, aur yeh dhup
na dikhe hari ghas ka koi tinka
panchee ne bhi amber se muh mod liya
na gunje madhoor sangeet, na dikhti titliya
uthe jab subha to
wo suraj ke paheli kiran
sheetal sheetal hawaye
madham ujyale ko cheerti aayi
wohi suraj ke kirane
jaan lene ko aati hai
subha shaam jo pyaas bujhaye
garmi ke dupahri mein
bund bund ko tarsati hai
peele pade pedho ke patte
ab to aakhri bhi jhadh raha hai
nahi hari shakhao ki umeed
katra katra bhumi phat rahi hai
kahi koi kisan dikhta hai
majdoori aur sirf paseena
jalati garmi mein lahrate
aur khun se siche gaye wo
khet nazar aate hai
taraste hai paani nahi
banjar gaon nazar aate hai
mahelo mein baithe hai wo seth
gareeb ke ask peete nazar aate hai
Source-toshakishayari.com
No comments:
Post a Comment